Aaj hum baat karne vale hai CID officer ke bare me yani ki me aapko batane vala hu ki kaise aap CID officer ban sakte ho aur kis tarah se aapko taiyari karni chahiye kya exame hote hai kya qualification chahiye etc. Ke bare me to chaliye sharu karte han.

Aaj kal hur koi doctor ya engineer yaa fir business man banana chahta hai lekin kuch students aise bhi hai jo sabse alag aur kuch badhiya karna chahate hai yani ki vo students jo CID officer banana chahate hai to me aaj unke liye yah post lekar yaha hu jisme maine jitni ho sake utni jankari dali hai.

CID kya hai? CID officer kaise bane?


Aaj kal bahot sare students doctor yaa engineer banana chahte hai lekin kuch students aise bhi hai jo CID officer banana chahte hai.

CID yani ki crime investigation department jo bharat ke liye detective ka kaam karti hai yah department bahot hi alag aur shatir tarah ka department hai isme aane ke liye aapke pass tej dimag aur kuch alag karne ki chahat honi chahiye.

Is department me ane ke liye aapko bahot mehnat karni hogi kyuki CID me ana koi asan kaam nahi hai aur ha agar koi bhi kaam kadi mehnat se kiya jaye to kuch bhi namumkin nahi hai CID me select hone ke liye aapko pehle se hi taiyari sharu kar deni chahiye yaani ki 9-10 class se hi mehant start kar deni chahiye.

CID police ka hi ek department hai jo criminal ka gupt tariko se pata lagate hai aur police ki tarah hi CID ka kaam hota hai.


CID officer banane ke liye kya kya qualification honi chahiye?


1. CID officer banane ke liye candidate ka indian hona bahot jaruri hai.

2. Candidate ne kisi bhi stream me kam se kam 12th pass kiya hu ho.

3. Higher post ke liye candidate ne graduation pass kiya hua hona chahiye yani ki aap kisi bhi stream me graduation hone chahiye apne kisi bhi stream se graduation kiya ho uska koi fark nahi padta.

4. CID me ane ke liye male aur female dono apply kar sakte hai.


CID officer banane ke liye age kya honi chahiye?


1. Agar aap general category me ate hai to aapki age 20 se 27 ke bich me honi chahiye

2. Agar aap OBC category me ate hai to aapki age 20 se 30 saal ke bich me honi chahiye.

3. Aur agar aap SC/ST category me ate hai to aapki age 20 se 32 saal ke bich me honi chahiye.


CID officer banane ke liye candidate kitni baar attempt kar sakta hai?


Ab me aapko batat hu ki agar koi candidate ek baar fail ho jata hai to vah kitni baar try kar sakta hai aur exame de sakta hai.

1. Aap general category me ate hai to aap 4 baar try kar sakte hai.

2. Agar aap OBC category me ate hai to aap 7 baar try kar sakte hai.

3. Aur agar aap SC/ST me ate hai to aapke liye koi limit nahi hai aap jitni baar chahe utni baar try kar sakte hai.


CID officer ka selection kaise hota hai?


Candidate ka selection bahot hi hard tarike se kiya jata hai kyoki CID ka matlab hi hota hai Jasoos aur isme teen padav aate hai yaani ki teen test ate hai.

1. Written exame

2. Physical effective test

3. Personal interview


Sabse pehle aati hai written exame jo bahot hard hoti hai aur isme questions bhi aise hote hai jiska answer aaj tak koi nahi de paya is tarah teeno test kiye jate hai jo hard hote hai.

Written exame do hote hai jisme pehla 200 marks aur dusra 400 marks kaa hota hai aur in dono me alag alag question puche jate hai yani ki ek me general knowledge aur dusre me aapke mind ka test kiya jata hai agar aapko jyada jankari chahiye to aap comment karke puch sakte ho.


CID officer ki salary kitni hoti hai?


CID officer ki salary 24 se 40 hajar ke bich me hoti hai CID officer ki salary unki rank pe depend karti hai.


CID rank :- hum rank sabse uper se batayege jaise jaise niche jayege vaise viase post yani ki rank down hoti jayegi to sabse uper hote hai...

ADGP
IGP
DIG
SP
DSP
INSPECTOR
SUPERINTENDENT
SUB INSPECTOR
ASST. SUB INSPECTOR
CONSTABLE

To ye sab thi CID officer ki rank to agar aapko high rank pe jana hai to aapka graduation hona jaruri hai ya fir agar aap 12th pass ho to aap low ya medium rank me jaa sakte ho.

Also Read :-



Last word:- 
To agar aapko aisi hi job, business, loan, insurance, career ya Online make money ke idea chahiye to humare is blog ko subscribe karna na bhule niche aapko subscribe buton mil jayega aur agar aapko koi question hai to aap comment karke puch sakte ho.