aap sabka har baar ki tarah is baar bhi swagat hai humare is naye artical pe jisme hum aapko batane vale hai ki kaise aap ek bhi rupya lagaye bina apni khud ki dukan khol sakte hai aur vo bhi all in one dukan yaani hur tarah ka saman rakhne vali dukan aap free me khol sakte ho yaani ki aapki dukan me shoes, tshirt, shirt, jewellery, etc. Milega jaise ki amazon ya flipkart pe milta hai.

To ab me aapko batata hu ki aap kaise kar sakte hai to iske liye bas aapko ek app download karna hai jiska name hai meesho, is apo ki madad se aap apni khud ki dukan khol sakte ho, kaise khol sakte ho ye me aapko age batata hu to agar aapko jarasa bhi isme interest hai to thoda bhi skip karke read mat karna kyonki bahot hi khas hone vala hai yah artical to chaliye sharu karte hai.

Meesho app
Meesho app

Meesho app kya hai?


Meesho app ek "reseller app" hai iske bare me main aage detail me batauga meesho app "earn from home with zero investment app" hai.

ab me aapko bata deta hu ki reseller ka matlab kya hota hai reseller yani ki kisi product ko aap kharid kar aap usme se thoda profit le kar us product ko kisi aur ko bech yani ki sell kardo meesho bhi aise hi kaam karta hai lekin isme aapko product ko nahi kharidna hai nahi bechna hai bas aapko sirf product ko share karna hai apne friends aur family members ke sath aur unmese kisi ko koi product pasand aa jaye to us product ko aapko order karvana hai.

Order karvane ke baad aapko messho ko yah batana hai ki aap us product ko sell karvane ka kitna profit lege to meesho aapka profit + product ki price buyer yaani product kharidne vale ke pass se le lege yaani ki kisi product ki price 300 hai + dilivary charge 40 rupye hai to 340 rupye huye to ab aapko meesho app me aapko apka margin dalna hai yani ki aap kitna profit lena chahate hai

to manlo aapne dala 60 rupye to total mila kar 400 rupye huye 300(product price)+40(dilivary charge)+60(aapka profit yani ki margin)= 400 rupye customer yani ki jo product khardta hai uske pass se liye jayege.

Aapko age sab samaj aa jayega me aapko step by step batane vala hu.


Meesho ke fayde kya hai


Pehla aur sabse bada fayda Meesho ka yah hai ki meesho aapke customer ko yah nahi batayega ki aapne kitna margin liya hai yani ki aapka margin secret rakha jayega.

Dusra fayda yah hai ki aapko kisi ke pass paise lene nahi jana hai meesho customer ke pass se paise le lega aur product bhi de dega aapko sirf product ki detial batani hai customer ko.

Teesra yah fayda hai ki meesho ka product jab customer ke pass pahuchega tab meesho kaa naam kahi nahi hoga balki aapki shop ka naam hoga yah naam aapko meesho pe account banate vakt dalege.

Akhri aur sabse best fayda yah hai ki meesho app me aap apni margi ke anusar margin add kar sakte hai isme koi limit nahi hai yani ki koi product 50 rupye ka hai to aap us product ko 300 rupye me bhi bech sakte ho.


Meesho app me account kaise


Sabse pehle yaha par click karke meesho app download karle ~> Download meesho apk

(Yaha par se meesho download karne par aapko 50 rupya next order par off milega ).

Jaise hi aap is app ko download karke open karoge aapke samne sign up for free ka option mil jayega aapko uspe click kar dena hai.

Ab aapko country select karke aapka mobile number dal dena hai aur uske baad next pe click karna hai.

Ab aapne jo mobile number dala hai usme ek code ayega uski madad se aapko apka mobile number verify kar lena hai.

Congratulations meesho par aapka account create ho gaya hai ab aap product sell karke paise yani ki margin kama sakte ho.


Meesho par next order par 50₹ off kaise paye.


Mobile number verify karte hi aapka account ban gaya hai ab aapko niche diye gaye options me se account option pe click karna hai.

Ab aapke samne bahot sare option dekhne ko milege usme se aapko enter referal code pe click karna hai.

Ab aapko niche diye gaye referal code dalke submit pe click kar dena hai.

Referal code :- YHDVEIL416

Ab aapke samne ek message show hoga jisme likha hoga ki "Get extra ₹50 off on your next order "

Iska matlab hai ki ab aapko apke order pe 50₹ kam dene hoge jusase aapka 50₹ ka fayda ho jayega.


Meesho par product sell karke margin ke jariye paise kaise kamaye


To chaliye ab baat karte hai ki aap kaise product ko bech kar paise kama sakte hai yaani ki margin paa sakte hai.

To sabse pehle aapko product ko share karna hai share karne ke liye niche option aapko mil hi jayege ab agar kisi ko product pasand ata hai to vah aapko message karega to ab aapko uski sari detail le leni hai yani ki kounse address par bhejna hai aur customer ka naam kya hai vagera.

Ek baat ka dhyan harur rakhe ki aapko koi link nahi bhejni hai aapko product select karke niche aapko whatsapp ka icon dikhega uspe click karke vaha se share karna hai.

Manlo ki aapne kisi product ki photo kisi ko bheji use vah pasand aa gayi to vah bolta hai ki muje ye chahiye to aapko usase address etc. Lena hai aur bolna hai ki 6-7 days me aapko product mil jayega.

Ab aapko meesho app par jana hai aur vaha par se us product par jana hai jo customer ko chahiye tha to us product par jane ke baad aapko customer ka pin code dalna hai aur check karna hai ki vaha dilivary available hai ya nahi agar available hoga to pin code dalne ke baad submit karte hi niche likha hua aa jayega ki this location is serviceable.

To uske baad add to cart pe click karde ab agar koi aisi chiz hai jisme size ki jarurat ho to vaha customer se size puch kar dalde uske baad aur quantity yani ki 1 chahiye ya ek se jyada vah select karle ab done pe click karde.

Ab aapko uper di gayi cart pe click karna hai vaha par aapko Payment method puche to aap koi bhi select kar sakte ho.

Meesho
Meesho

Ab aap screenshot me dekh sakte hai ki referal code dalne ka kya fayda hai 50₹ aapko kam dene padege yaani ki aap customer se pure paise le kar aapka 50₹ ka fayda karva sakte hai.

Ab aapko proceed pe click karna hai aur add new address pe click karna hai ab aapko sari detail fill kar leni hai yaad rakhe ki isme aapko apki detils nahi dalni hai isme aaoko customer ki detils dalni hai uske baad save pe click kar dena hai.

Ab aapko proceed pe click karna hai ab aapko name aur email pucha jayega isme aapko apka name yaa aapki shop ka naam dalna hai aur aapki e-mail dalni hai aap yaha par jo dalege vah jab customer ke pass product pahuchega to usme likha hua hoga meesho ka naam kahi nahi hoga ab aapko apka mobile number dalke proceed pe click karna hai.

Meesho
Meesho

Ab aap screenshot me dekh sakte hai ki yaha par product ki sari detail aa gayi hai aab yaha par aapko dhyan rakhna hai ki aapko total price dalni hai yaani ki product price, shopping charge, cod charge, first order wirh referal, referal reward mila ghata kar jo bachta hai vah finale price hai yani ki screenshot me jo 260 hai vah finale price hai.

Ab muje yah pucha gaya hai ki main is product ko kitne me bechna chahta hu to me add karta hu 350₹ to aap dekh sakte hai ki niche muje mera margin 90 rupye dikhay de raha hai yani ki yah product successfully placed ho jata hai to muje 90₹ milege.

Dhyan rakhe ki jab aap customer ko product ke bare me bataye to jitni price app me dikha rahi hai utni naa bataye apna margin jode kar bataye yani ki agar kisi product ki price 150₹ hai to aap apna margin add karke price bataye yanni ki me 270₹ batauga aur haa shopping charge vagera dekh kar price bataye.


Meesho kab aur kaise payment karta hai.


Sabse pehle aapko meesho me apni bank details dalni hogi iske liye aapko meesho app open karna hai ab aapko niche diye gaye options me se account option pe jana hai aur my bank detail pe click kare aur apni bank detail dalde aur save karle.

Ab aapko yah question hoga ki meesho kab Payment karta hai agar aap koi product sell karte ho to jab vah product apke customer ke pass pahuch jaye uske 2-3 din me aapko Payment yaani ki aapka margin aapko apki bank me transfer kar diya jata hai.


Meesho app se aap kitni tarah se paise kama sakte ho.


Me aapko batana chahuga ki aap meesho app ki madad se do tarah se paise kama sakte ho sabse pehla to maine bata diya ki product bech kar aur dusra yah ki meesho ko referal karke.

Meesho app me agar aap kisi ko reffer karke join karvate ho apni link se aur apna referal code dalvate ho aur agar vah koi product sell karta hai to uska commission aapko milega.


Meesho app ko refer karke paise kaise kamaye 


To sabse pehle meesho app open kare aur niche account option pe click kare aur refer & earn pe click kare aur tap to invite Friends pe click kare aur uske baad apne friends ko is app ke bare me bata kar refer kar sakte hai aur apna referal code dalvana na bhule.

Agar koi referal code dalta hai to dono ka fayda hai jo code dalta hai usko 50₹ off mil jayege aur jo code dalvata hai usk afayda yah hai ki samne vala agar koi product sell karvata hai to uska commission aapko mil jayega.
To agar aapko yah paise kamane ka idea pasand aya hai to please share jarur kare aur comment karke hume jarur bataye.