Hello dosto me aap sabhi se mafi magna chahuga kyu ki bahot dino se maine koi post nahi dali iske piche ka bhi ek reason hai me thoda busy tha lekin aaj se regular aapke liye post ayegi aur jo bhi post hogi vo ek dum nayi hogi to sharu karte hai aaj ka article aaj me aapko batane vala hu do it later app ke bare yaani ki do it later app kya kaam karta hai.

To dosto do it later app ek aisa app hai jo automatically message send karta hai, me aapko vistar se batauga to friends sabse pehle me aapko bata deta hu is app ke bare me thodi batein to chaliye sharu karte hai.

Bahot baar aisa hota hai ki hum apne friends, gf/wife yaa bf/husband, bhai yaa bahen, rishtedaron ka birthday ya fir koi bhi khas day jo hume use wish karna hota hai vah hum bhul jate hai, aur baad me pata chalta hai ki aaj to iska birthday tha fir hum use wish karte hai to hum mushkil me bhi pad sakte hai.

Agar baat aati hai gf/wife yaa bf/husband ki to agar hum birthday bhul gaye to bhai baat hi mat pucho kya haal hoga (mere khyal se pitai pakki hai) to agar aap chahte hai ki aisa naa ho ya fir aap apne family members yaa friends ka birthday sabse pehle wish karna chahte hai to aaj me aapke liye ye trick le kar aaya hu to chaliye sharu karte hai.

Agar aap apne kisi bhi khas ko sabse pehle birthday wish karna chahte hai to aaj ki yah post aapke liye bahot hi khas hone vali hai to is post ko last tak read jarur kare.

Late wish karne par jiska breakup hua hai usko me kehna chahuga ki kash aapko ye app pehle mil jati to aapka breaup nahi hota...


Birth date yaad rakhe bina sabse pehle wish kaise kare


To friends aaj me aapko breakup se kaise bacha jaa sakta hai iske bare me batauga yaani ki apke kisi khas ka birthday ane vala hai aur aapko uski birth date yaad nahi hai fir bhi aap sabse pehle kaise wish karege to chaliye jante hai.

Sabse pehle aapko ek android application download karna padega jiska name hai "Do It Later" to is app ko download karne ke liye yaha click kare. ~> Download Now Do It Later apk

Note :- ye ek app hai koi bhagvan nahi jo direct message ya call kar degi kisi ko wish karne ke liye aapko uski date pata honi chahiye baad me bhale hi aap us date ko bhul jao jaise ki mera birthday hai ye aapko pata hai ab aap is app me date set karke tension free ho sakte ho aur date yaad rakhne ki ab koi jarurat nahi hai.


Do it later app ko download karne ke baad is app ko open kare ab aapke samne niche ek plus ka icon dikhega vaha par click kare.

Plus ucon par click karte hi ab aapke samne kuch options aa jayege to aapko call, sms, remind, email me se koi bhi ek option select kar lena hai jaise ki sms.

1.
Ab sms ko select karte hi aapko sabse uper ek box dikhega jaisa ki aap screenshot me dekh sakte ho vaha par jiska birthday hai usko select kar lena hai

2. Ab type a message vale box me aapka message type karna hai jaise ki Happy birthday etc. Kuch bhi likhdo jo aap samne vali vyakti ko kehna chahte ho.

3. Ab aapko date aur time set karna hai ki kounsi date par kitne baje aap message ko send karna chahte ho ab aap yaha par date and time set karke aram se so sakte ho ye app automatically message send kar dega.

4. Date and time ke baad ata hai repeat ka option to yaha par aap yearly select kar sakte ho agar aap hur saal automatically message send karna chahte ho to.

5. Ab aata hai sim ka option jisme aapko select karna hai ki aap kounse sim se message send karna chahte hai.

6. Sab achhi tarah se ho jane ke baad uper diye gaye Schedule option pe click kar dena hai.

Ab aapka kaam ho gaya hai ab aapko tension free ho kar so jana hai agar aapne is app me raat ke 12 baje ka time select kiya hai to ye automatically raat ke 12 baje message send kar dega.

Is app ki madad se aap apne rishtedaron ko impress kar sakte hai aur tension free reh sakte hai.

~> Gaming me apna career kaise banaye
~> Ola aur uber ke sath business kaise start kare
~> Top 3 business idea jo bina padhe likhe bhi kar sakte hai

also read:


last word:

To agar aapki ye article pasand aya hai to share jarur kare taki kisi jarurat mand ki help ho jaye aur comment karke hume jarur bataye ki aapko ye article kaisa laga to aaj ke liye itna hi milte hai next article me.